Ummul Baneen Roti hain sar peet peet kar
Kohram hai barpa
Hasnain ke baba pe chala zulm ka khanjar
kohram hain barpa x 2
1. Jibreel yeh sar peet ke karte hain munadi
Maara gaya maabood ke sajde me namazi
Talwar se zaqmi hua islam ka rehbar
Kohram hain barpa X 2
2. Zaalim ne pahle tegh zaher mein bhujahi hain
Fir shere kirdegar ke sarpe lagayi hain
Apne lahoo mein doob gaye saqiye kausar
Kohram hain barpa X 2
3. Hain Zainabo kulsum ke honto pe yeh naale
Aye paalne wale mere baba ko bachale
Abbas bahauth rote hain is bain ko sunkar
Kohram Hain barpa X 2
4. Sar peet ke karte hai buka shabbar o shabbir
kulsum se yeh kehti hain jab zainab e dilgeer
Ab Daage yeateemi ka dikhayega muqadar
Kohram hain barpa X 2
5. Ek Hashr ka manzar hai qayamat ki ghadi hain
Aaker ke yateemi dar e shabbar pe khadi hain
Bin baap ke hojayega zehra ke gulayter
Kohram hain barpa X 2
6. Aalam ye purdard sada goonj rahi hain
Duniya se woh jata hain jo waliyon ka wali hain
Waiz hai azadaron ki ankhon me samandar
Kohram hain barpa X 2
