Asr ka waqt hai shabbir ki aati hai sada
chur zakhmo se badan hogaya amma mera
apni aagosh may ab mujko chupalo amma
arey dhoop hai apni abaa aan ke dalo amma
garm reti pa me girta hu sambhalo amma
thak gaya lashay utha kar mai bhare lashkar ki
laash qasim ki mai laaya tha kabhi akbar ki
khud banayi thi lahad maine ali asghar
do tasalli mujhe seene se lagalo amma
garm reti……………
taygh talwaron se, khanjar se badan zakhmi hai
khaak jalti hai to zakhmo may chubhan hoti hai
mere zakhmo se mere dil ka lahoo jaari hai
apni chaadar ko mere zakhmon pe daalo amma
garm reti……………
mera abbas khafa hogaya amma mujhse
wo nahi aaya utha laaya tha baazu uske
aap ek kaam karay nehr kanare jaake
mere roothe huwe bhaai ko manalo amma
garm reti…………
chakkiya peesi hai godhi may bithakar mujko
jaagti rehti thi zaanu pe sulaakar mujko
loriya deti thi jhoolay may jhulakar mujko
ek dafa godh may phir apni sulalo amma
garm reti……………
aur kuch dayr ka mehmaan hoo tum paas raho
rayt zakhmo may hai aanchal se usay saaf karo
aati hai rone ki aawaz-e-sakina dekho
jao tum jaake sakina ko sambhalo amma
garm reti……………
dekho wo aag lagi sham e ghariba aayi
dekho ghabra ke nikal aayi meri maajayi
dekho behosh sakina ka pada hai bhai
jao sajjad ko sholon se nikalo amma
garm reti……………
hai ghuzarish meri tumse to ab itni maadar
amma baba ki kasam dhaamp lo moo par chadar
dekha jayega na ab tumse ye khooni manzar
qatl hota hoo nigahon ko hataalo amma
garm reti………………
hogi jab hashr ke maidan may majlis barpa
farsh-e-gham sheh ka bichayegi janabe zehra
aayegi hazrat-e-shabbir ki rehaan sadaa
aaj jee khol ke tum ashk bahalo amma
garm reti…………
